Ek aas hai, thodi si pyaas hai
Surya ko jagate hue koyal ka kookna
Dhoop me Pachhiyon ke bhar se wo neem ki tahaniyo ka jhukna
Sukhte talab ki wo aakhiri boond se Sher ki pyaas ka boojhna
Hawa ke machalte hi wo zameen pe pade sukhe Pattiyon ka swatah hi ud Jana, mano phir se jeewit ho gye hon
Pahli baarish ka wo mahino se pyaasi dharti ko choomna
Sukhe kheton me thodi se nami milte hi wo darararon se Harit beej ka footna
Wo aamvas ki raat ka purn grahan, aur grahan se niklte chaand ki wo pehli Kiran ka timtimana
Wo barso se sukhe gaon ke hand pump se Pani ki pahli dhar ka nikalna
Ek aas hai, thodi si pyaas hai..