Kal maine kya kiya wo
Ya Kal kya Karunga wo
Ya aaj jo mai kr rha hu
Wo bhi hai kya meri pehchan
Dussre kya dekhte hain mujhme
Dussre kya sochte hain mere bare me
Kya unki soch aur nazariye se
Banti hai meri pehchan
Kya yogdaan hai mera meri pehchan banane me
Kal maine kya kiya
Kisko dost maana,
Kisko Zindagi di
Kisse dhokha khaya
Kis ghootan me Jiya, mara
Bina samjhe ban gyi kya meri pehchan
Kya roz Banti bigadati hai meri pehchan
Roz Taraju me baitha
Tolte Hain muhe wo
Apne soch aur nazariye se
Kya aaj ka Wajan
Badal degi meri kal ki pehchan
Kyun parakhte hain log roz mujhe
Kya naata hai mera unse
Kaun apne hain kaun Paraya
Sb kyun Pehchanana chahte hain mujhe
Kya Jitta wo Dekh paate hain,
Utti hi hai meri pehchan
Ek bar ungli uthane se pahle
Awaz to uthao
Puchho kabhi mujhse bhi
Mere Kal aaj aur kal ke baare me
Zaldi kya hai mujhe Janane ki
Aao, baitho, Chai peete hain,
Thodi baatein krte hain..
Mujhse bhi to Puchho
Kya hai meri pehchan