Ek kahani us khawab ki
Zameen pe kabhi jo aa nhi ski
Hawaon ke mol milte hain khawab Ji
Jb chahe dekh lo
Koi self-respect nhi inka
Aap inhe bhul ke so bhi jao
Ye hain ki phir bhi band aankhon se bhi reng jayenge
Ye Khawab kabhi ummeedon ki tandoori chicken ban ke aate hain
To kabhi garmi me Amul ki chhaas ban jate hain..
Raat ke andhere me din dikha jate hain ye Khawab Ji
Yu hamara gir ke sambhalana
Sambhal ke girna
Khawabon ki bisat hi to hai
Kathputali hain hum agar, to dor hain ye Khawab Ji
Rishton ki garmahat bhi ek khawab hai
Ishq ki ghoonghat me chamki wo Seerat bhi ek khawab hai
Keet-patango ke Jugnoo se Roshan Asmaan bhi ek khawab hai
Corona ki Chadar tale khuli saans lena bhi ek khawab hai
Kabhi tootate Tare ko dekh Pure hote hain ye Khawab Ji,
Kabhi apne Chand ko kisi aur ki raat me dekh toot jaate hain ye Khawab Ji
Zindagi kya hai agar ek Khawabon ki Rail nhi..
Lekin Jb itte zaroori to milte muft ku ye Khawab Ji
Hum bhi bane muft me kisi ke Khawab, bs itna sa hai khawab Ji..